Melancholy Prose

Doobtay sooraj kee shaam ko daawat,
raat kee rani kee dheemi see khusbo
Bin chaand kee raat mien andhairay ka sakoon,
aik adhoori yaad,aik adhoora khwab,
aik namumkin aarzo.
Kuch raakh, kuch dhuaan,
chand muskuratay,
khamoosh,
aansoo

muskurahatoon mien uljhee, ik bhooli huee chahat ka khumaar
Jo hai bhee
Aur nahin bhee
Jo hawa say chhalakta bhee hai
Barasta bhee hai
Simat ta bhee hai
Jhijakta bhee hai
Ghabraya sa
Sharmaya sa
Larkharaya bhee
Girgiraya bhee

Aur meiree he virasat ban kay theher gaya

Jaisay bhatkee hue koee roh
Apnee manzil pa lay
Yah na mukamal koee koshsih
Apna hasil paa lee

Aaj kee raat, kuch anjaan see hai
Janee pehchanee bhee
Maqsad-e-hayat bhee hai
aur bay-mani bhee hai

Aaj kee raat, sitaroon ka sabar toot gaya
Aaj kee raat duaoon ka asar chhoot gaya
Aaj kee raat tasulsul bhee hai
Aur manzil bhee
Aaj kee raat, musalsal bhee hai
Na-mukamal bhee

Aaj kee raat har aik baat ka jawab sahi
Aaj kee raat teray khoon say napaak sahi
Aaj kee raat meri tanhiyee ka maqsad he sahi
Aaj kee raat teri yaad kee wehshat he sahi

Aaj kee raat yahi soochta hoon kay ab bas
Ho gaee buhat wafa, seh liya buhat junoon
Aur yahi sooch kar khud pay muskurata hoon
Na teri yaad rahi to rahay ga kiya sukoon...

Rishta, toota he sahi, meri haqeeqat tow hai
Wada jhoota he sahi, wajha-e-aqeedat tow hai

Comments

Rude Awakenings said…
You cant leave such throbbing blood stains. How do you do it?

Crying blood and sweating tears.
Your words kill me.

Popular Posts