Melancholy Prose
raat kee rani kee dheemi see khusbo
Bin chaand kee raat mien andhairay ka sakoon,
aik adhoori yaad,aik adhoora khwab,
aik namumkin aarzo.
Kuch raakh, kuch dhuaan,
chand muskuratay,
khamoosh,
aansoo
muskurahatoon mien uljhee, ik bhooli huee chahat ka khumaar
Jo hai bhee
Aur nahin bhee
Jo hawa say chhalakta bhee hai
Barasta bhee hai
Simat ta bhee hai
Jhijakta bhee hai
Ghabraya sa
Sharmaya sa
Larkharaya bhee
Girgiraya bhee
Aur meiree he virasat ban kay theher
Apnee manzil pa lay
Yah na mukamal koee koshsih
Apna hasil paa lee
Aaj kee raat, kuch anjaan see hai
Janee pehchanee bhee
Maqsad-e-hayat bhee hai
aur bay-mani bhee hai
Aaj kee raat, sitaroon ka sabar toot
Aaj kee raat duaoon ka asar chhoot
Aur manzil bhee
Aaj kee raat, musalsal bhee hai
Na-mukamal bhee
Aaj kee raat har aik baat ka jawab sahi
Aaj kee raat teray khoon say napaak sahi
Aaj kee raat meri tanhiyee ka maqsad he sahi
Aaj kee raat teri yaad kee wehshat he sahi
Aaj kee raat yahi soochta hoon kay ab bas
Ho gaee buhat wafa, seh liya buhat junoon
Aur yahi sooch kar khud pay muskurata hoon
Na teri yaad rahi to rahay ga kiya sukoon
Rishta, toota he sahi, meri haqeeqat tow hai
Wada jhoota he sahi, wajha-e-aqeedat tow hai
Comments
Crying blood and sweating tears.
Your words kill me.